nazar mein kaun hai jiske nashe mein choor hain ab hum | नज़र में कौन है जिसके नशे में चूर हैं अब हम - Priya omar

nazar mein kaun hai jiske nashe mein choor hain ab hum
usi pe mubtala dil aur khud se door hain ab hum

tasavvur roz-o-shab uska sataata hi raha hamko
ajab deewaangi ke khwaab se bharpoor hain ab hum

labon ki surkh rangat aankhon ke anjaam mat poocho
haseen sandal badan ki mushk mein mehrur hain ab hum

zamaane ki kahi koi hidaayat yaad kyun rahti
hua deedaar jab se ik bashar maajoor hain ab hum

kabhi vo haal-e-dil pooche deewane ko sukoon aaye
faqat betaabiyaan odh badan maamoor hain ab hum

नज़र में कौन है जिसके नशे में चूर हैं अब हम
उसी पे मुब्तला दिल और ख़ुद से दूर हैं अब हम

तसव्वुर रोज़-ओ-शब उसका सताता ही रहा हमको
अजब दीवानगी के ख़्वाब से भरपूर हैं अब हम

लबों की सुर्ख़ रंगत आँखों के अंजाम मत पूछो
हसीं संदल बदन की मुश्क में महरूर हैं अब हम

ज़माने की कही कोई हिदायत याद क्यों रहती
हुआ दीदार जब से इक बशर माजूर हैं अब हम

कभी वो हाल-ए-दिल पूछे दिवाने को सुकूँ आए
फ़क़त बेताबियाँ ओढे़ बदन मामूर हैं अब हम

- Priya omar
2 Likes

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Priya omar

As you were reading Shayari by Priya omar

Similar Writers

our suggestion based on Priya omar

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari