aah mizraab-e-mohabbat ke siva kuchh bhi nahin
saaz aahon ki ibadat ke siva kuchh bhi nahin
zindagi par jo kabhi tum ne inaayat ki thi
ab vo taufeeq-e-inaayat ke siva kuchh bhi nahin
aur haasil ho koi gham to ajal ko samjhen
zindagi raaz-e-haqeeqat ke siva kuchh bhi nahin
aur afsaana-e-maazi mein to rakha kya hai
ab sukoon lafz-e-rivaayat ke siva kuchh bhi nahin
आह मिज़राब-ए-मोहब्बत के सिवा कुछ भी नहीं
साज़ आहों की इबादत के सिवा कुछ भी नहीं
ज़िंदगी पर जो कभी तुम ने इनायत की थी
अब वो तौफ़ीक़-ए-इनायत के सिवा कुछ भी नहीं
और हासिल हो कोई ग़म तो अजल को समझें
ज़िंदगी राज़-ए-हक़ीक़त के सिवा कुछ भी नहीं
और अफ़साना-ए-माज़ी में तो रखा क्या है
अब सुकूँ लफ़्ज़-ए-रिवायत के सिवा कुछ भी नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qaisar Haideri Dehlvi
our suggestion based on Qaisar Haideri Dehlvi
As you were reading Afsos Shayari Shayari