ab is ka aur kya anjaam hoga
mohabbat kar ke jo badnaam hoga
abhi insaan hai tishna-kaam-e-ulfat
abhi naam-e-wafaa badnaam hoga
jo aaghaaz-e-sehr ka hai nazaara
wahi mera charaagh-e-shaam hoga
kali par raat bhar royegi shabnam
tabassum maut ka paighaam hoga
अब इस का और क्या अंजाम होगा
मोहब्बत कर के जो बदनाम होगा
अभी इंसाँ है तिश्ना-काम-ए-उल्फ़त
अभी नाम-ए-वफ़ा बदनाम होगा
जो आग़ाज़-ए-सहर का है नज़ारा
वही मेरा चराग़-ए-शाम होगा
कली पर रात भर रोएगी शबनम
तबस्सुम मौत का पैग़ाम होगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qaisar Haideri Dehlvi
our suggestion based on Qaisar Haideri Dehlvi
As you were reading Muskurahat Shayari Shayari