b-aasaani kahi shaadan dil-e-naashaad hota hai
badi barbaadiyon kai ba'ad ye aabaad hota hai
thehar ai gardish-e-dauraan vo lab jumbish mein aate hain
saraapa gosh ho kar sun ki kya irshaad hota hai
dar-e-saaqi se aazaad-e-do-aalam uth nahin saka
quyood-e-mazhab-o-millat se rind azaad hota hai
guzishta haal-e-ulfat kya sunoge kya sunaaunga
ye qissa kuchh kahi se kuchh kahi se yaad hota hai
payaam-e-sad-museebat jaanta hoon ik tabassum ko
larz jaata hoon jis din khush dil-e-naashaad hota hai
qafas ki titliyon utho gale mil lo lipt jaao
ki qaid-e-zindagi se ik aseer azaad hota hai
kahaan pehli si qaisar rasm-e-shaagirdi-o-ustaadi
jo ik misra bhi kah leta hai ab ustaad hota hai
ब-आसानी कहीं शादाँ दिल-ए-नाशाद होता है
बड़ी बर्बादियों कै बा'द ये आबाद होता है
ठहर ऐ गर्दिश-ए-दौराँ वो लब जुम्बिश में आते हैं
सरापा गोश हो कर सुन कि क्या इरशाद होता है
दर-ए-साक़ी से आज़ाद-ए-दो-आलम उठ नहीं सकता
क़ुयूद-ए-मज़हब-ओ-मिल्लत से रिंद आज़ाद होता है
गुज़िश्ता हाल-ए-उल्फ़त क्या सुनोगे क्या सुनाऊँगा
ये क़िस्सा कुछ कहीं से कुछ कहीं से याद होता है
पयाम-ए-सद-मुसीबत जानता हूँ इक तबस्सुम को
लरज़ जाता हूँ जिस दिन ख़ुश दिल-ए-नाशाद होता है
क़फ़स की तितलियों उठो गले मिल लो लिपट जाओ
कि क़ैद-ए-ज़िंदगी से इक असीर आज़ाद होता है
कहाँ पहली सी 'क़ैसर' रस्म-ए-शागिर्दी-ओ-उस्तादी
जो इक मिस्रा भी कह लेता है अब उस्ताद होता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qaisar Haideri Dehlvi
our suggestion based on Qaisar Haideri Dehlvi
As you were reading Hunar Shayari Shayari