bahut mushkil sahi lekin b-sad mushkil bhi dekhenge
ki anwaar-e-haqeeqat taalibaan-e-dil bhi dekhenge
khuda taufeeq de ham ko to dil ko dil bhi dekhenge
inheen aankhon se ham aasaan har mushkil bhi dekhenge
na kaamil zauq-e-nazara na shauq-e-jaada-paimaai
agar kaamil talab hai to mazaq-e-dil bhi dekhenge
vo kashti aaj jo takra rahi hai mauj-e-toofaan se
usi kashti ko ham ik din sar-e-saahil bhi dekhenge
dar-e-haider pe qaisar sar jhuka kisra ka qaisar ka
gada-e-koo-e-haidar husn-e-mustaqbil bhi dekhenge
बहुत मुश्किल सही लेकिन ब-सद मुश्किल भी देखेंगे
कि अनवार-ए-हक़ीक़त तालिबान-ए-दिल भी देखेंगे
ख़ुदा तौफ़ीक़ दे हम को तो दिल को दिल भी देखेंगे
इन्हीं आँखों से हम आसान हर मुश्किल भी देखेंगे
न कामिल ज़ौक़-ए-नज़ारा न शौक़-ए-जादा-पैमाई
अगर कामिल तलब है तो मज़ाक़-ए-दिल भी देखेंगे
वो कश्ती आज जो टकरा रही है मौज-ए-तूफ़ाँ से
उसी कश्ती को हम इक दिन सर-ए-साहिल भी देखेंगे
दर-ए-हैदर पे 'क़ैसर' सर झुका किसरा का क़ैसर का
गदा-ए-कू-ए-हैदर हुस्न-ए-मुस्तक़बिल भी देखेंगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qaisar Haideri Dehlvi
our suggestion based on Qaisar Haideri Dehlvi
As you were reading Dil Shayari Shayari