bas ab ham se dil-e-shoreeda-sar dekha nahin jaata | बस अब हम से दिल-ए-शोरीदा-सर देखा नहीं जाता

  - Qaisar Haideri Dehlvi

bas ab ham se dil-e-shoreeda-sar dekha nahin jaata
ye tadpana tadapna raat bhar dekha nahin jaata

hamein tarkeeb hi nazaara-e-rukh ki nahin aati
ki vo hain dekhne ki shay magar dekha nahin jaata

khuda jurat na de mujh ko kisi din lab-kushaai ki
ki mujh se naala-e-mahroom-asar dekha nahin jaata

khuda ne sharm rakh li zauq-e-nazara ki mehfil mein
na jaane kya sitam hota agar dekha nahin jaata

kisi goshe mein dil ke dhundh us ke husn-e-yakja ko
vo sham'a-e-shauq le kar dar-b-dar dekha nahin jaata

badi muddat se paida kar raha hoon shauq-e-nazzaara
b-itminaan-e-dil ab bhi udhar dekha nahin jaata

nahin maaloom qaisar ishq hi itna bura kyun hai
meri samt un se jab ki ik nazar dekha nahin jaata

बस अब हम से दिल-ए-शोरीदा-सर देखा नहीं जाता
ये तड़पाना तड़पना रात भर देखा नहीं जाता

हमें तरकीब ही नज़ारा-ए-रुख़ की नहीं आती
कि वो हैं देखने की शय मगर देखा नहीं जाता

ख़ुदा जुरअत न दे मुझ को किसी दिन लब-कुशाई की
कि मुझ से नाला-ए-महरूम-असर देखा नहीं जाता

ख़ुदा ने शर्म रख ली ज़ौक़-ए-नज़ारा की महफ़िल में
न जाने क्या सितम होता अगर देखा नहीं जाता

किसी गोशे में दिल के ढूँड उस के हुस्न-ए-यकजा को
वो शम्अ'-ए-शौक़ ले कर दर-ब-दर देखा नहीं जाता

बड़ी मुद्दत से पैदा कर रहा हूँ शौक़-ए-नज़्ज़ारा
ब-इत्मीनान-ए-दिल अब भी उधर देखा नहीं जाता

नहीं मालूम 'क़ैसर' इश्क़ ही इतना बुरा क्यों है
मेरी सम्त उन से जब कि इक नज़र देखा नहीं जाता

  - Qaisar Haideri Dehlvi

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qaisar Haideri Dehlvi

As you were reading Shayari by Qaisar Haideri Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Qaisar Haideri Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari