fariyaad nahin ashk nahin aah nahin hai | फ़रियाद नहीं अश्क नहीं आह नहीं है

  - Qaisar Haideri Dehlvi

fariyaad nahin ashk nahin aah nahin hai
ai ishq tira koi hawa-khwah nahin hai

go dard-e-tamanna ko badhaata hai tira zikr
dil phir bhi tire naam se aagaah nahin hai

ai husn-e-yaqeen dair-o-haram ki hai fazaa tang
is dar se palatne ki koi raah nahin hai

ye kis ne udaai ki mujhe ishq hai tum se
haan tum ko yaqeen aaye to afwaah nahin hai

aasaish-e-tan rooh ka aazaar hai qaisar
duniya mein gham-e-ishq se tankhwaah nahin hai

फ़रियाद नहीं अश्क नहीं आह नहीं है
ऐ इश्क़ तिरा कोई हवा-ख़्वाह नहीं है

गो दर्द-ए-तमन्ना को बढ़ाता है तिरा ज़िक्र
दिल फिर भी तिरे नाम से आगाह नहीं है

ऐ हुस्न-ए-यक़ीं दैर-ओ-हरम की है फ़ज़ा तंग
इस दर से पलटने की कोई राह नहीं है

ये किस ने उड़ाई कि मुझे इश्क़ है तुम से
हाँ तुम को यक़ीं आए तो अफ़्वाह नहीं है

आसाइश-ए-तन रूह का आज़ार है 'क़ैसर'
दुनिया में ग़म-ए-इश्क़ से तनख़्वाह नहीं है

  - Qaisar Haideri Dehlvi

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qaisar Haideri Dehlvi

As you were reading Shayari by Qaisar Haideri Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Qaisar Haideri Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari