gazab hai ik but-e-kaafir-ada ne loot liya
ki mujh ko banda bana kar khuda ne loot liya
ye kis ki bazm mein kam-bakht le gaeein nazrein
nigaah-e-naaz ne maara haya ne loot liya
jo dil ke paas tha sarmaaya-e-hawas-o-khird
nazar ne cheen liya aur ada ne loot liya
vo dil ki jis ko bachaaya tha dair-o-ka'ba. se
tumhaare husn-e-wara-ul-wara ne loot liya
nahin naseeb jo taaj-e-shahi ko bhi qaisar
maza vo kaasa-e-dast-e-gada ne loot liya
ग़ज़ब है इक बुत-ए-काफ़िर-अदा ने लूट लिया
कि मुझ को बंदा बना कर ख़ुदा ने लूट लिया
ये किस की बज़्म में कम-बख़्त ले गईं नज़रें
निगाह-ए-नाज़ ने मारा हया ने लूट लिया
जो दिल के पास था सरमाया-ए-हवास-ओ-ख़िरद
नज़र ने छीन लिया और अदा ने लूट लिया
वो दिल कि जिस को बचाया था दैर-ओ-का'बा से
तुम्हारे हुस्न-ए-वरा-उल-वरा ने लूट लिया
नहिं नसीब जो ताज-ए-शही को भी 'क़ैसर'
मज़ा वो कासा-ए-दस्त-ए-गदा ने लूट लिया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qaisar Haideri Dehlvi
our suggestion based on Qaisar Haideri Dehlvi
As you were reading Masti Shayari Shayari