hain waqt ke mahkoom to bahkenge qadam aur
badle hue haalaat mein kho jaayenge ham aur
afsaana-e-andoh mein yaksaan hai har ik shakhs
is daur-e-pur-aashob mein tum aur na ham aur
le jaate hain but-khaane se dil apna jala kar
rakh lenge nayi sham'a sar-e-taaq-e-haram aur
har shakhs tha khaamosh mere ba'ad azal mein
poocha jo gaya hai koi shaista-e-gham aur
saanche mein masarrat ke dhala hai gham-e-ulfat
ai gardish-e-aafaq mujhe de koi gham aur
awwal to bichhadte hi chale jaate hain saathi
padta hai bura waqt to ho jaate hain kam aur
haalaat muaafiq nazar aate nahin qaisar
hain tarakash-e-ayyaam mein kuchh teer-e-sitam aur
हैं वक़्त के महकूम तो बहकेंगे क़दम और
बदले हुए हालात में खो जाएँगे हम और
अफ़्साना-ए-अंदोह में यकसाँ है हर इक शख़्स
इस दौर-ए-पुर-आशोब में तुम और न हम और
ले जाते हैं बुत-ख़ाने से दिल अपना जला कर
रख लेंगे नई शम्अ' सर-ए-ताक़-ए-हरम और
हर शख़्स था ख़ामोश मिरे बा'द अज़ल में
पूछा जो गया है कोई शाइस्ता-ए-ग़म और
साँचे में मसर्रत के ढला है ग़म-ए-उल्फ़त
ऐ गर्दिश-ए-आफ़ाक़ मुझे दे कोई ग़म और
अव्वल तो बिछड़ते ही चले जाते हैं साथी
पड़ता है बुरा वक़्त तो हो जाते हैं कम और
हालात मुआफ़िक़ नज़र आते नहीं 'क़ैसर'
हैं तरकश-ए-अय्याम में कुछ तीर-ए-सितम और
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qaisar Haideri Dehlvi
our suggestion based on Qaisar Haideri Dehlvi
As you were reading Aankhein Shayari Shayari