har nafs taaza museebat umr bhar dekha kiye
dekhne ki shay na thi duniya magar dekha kiye
jis qayamat se daraata bhi hai darta bhi hai shaikh
thokron mein aap ki shaam-o-sehar dekha kiye
tum to aasooda shab-e-wa'da the khwaab-e-naaz mein
shab se le kar subh tak ham soo-e-dar dekha kiye
barhmi un ki adoo ke zulm gardoon ke sitam
ye to dekho aafatein ham kis qadar dekha kiye
allah allah kis qadar tha naaz un ki deed par
gahe-gahe khud ko bhi ham ik nazar dekha kiye
aap hi ik har taraf jalwa-numa the be-hijaab
aap ko dekha kiye aur umr bhar dekha kiye
ham ko har sajda tha qaisar taaj-e-shahi se siva
sar ki qeemat aastaan-e-dost par dekha kiye
हर नफ़स ताज़ा मुसीबत उम्र भर देखा किए
देखने की शय न थी दुनिया मगर देखा किए
जिस क़यामत से डराता भी है डरता भी है शैख़
ठोकरों में आप की शाम-ओ-सहर देखा किए
तुम तो आसूदा शब-ए-वा'दा थे ख़्वाब-ए-नाज़ में
शब से ले कर सुब्ह तक हम सू-ए-दर देखा किए
बरहमी उन की अदू के ज़ुल्म गर्दूं के सितम
ये तो देखो आफ़तें हम किस क़दर देखा किए
अल्लाह अल्लाह किस क़दर था नाज़ उन की दीद पर
गाहे-गाहे ख़ुद को भी हम इक नज़र देखा किए
आप ही इक हर तरफ़ जल्वा-नुमा थे बे-हिजाब
आप को देखा किए और उम्र भर देखा किए
हम को हर सज्दा था 'क़ैसर' ताज-ए-शाही से सिवा
सर की क़ीमत आस्तान-ए-दोस्त पर देखा किए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qaisar Haideri Dehlvi
our suggestion based on Qaisar Haideri Dehlvi
As you were reading Duniya Shayari Shayari