har tabi'at ko jahaan pyaar bhari khoo kahiye
kaun se phool ko us baagh ki khushboo kahiye
door tak bhi koi sehra hai na gulshan na qayaam
rahbar-e-shauq ko aagaah-e-man-o-tu kahiye
ham abhi dil mein tujhe dhoondhne se qasir hain
ye alag baat ki jalwe tire har soo kahiye
aaj ki raat kisi baat ka shikwa kyun ho
aap kahiye kabhi tum kahiye kabhi tu kahiye
ek mehraab si masjid ki nazar aati hai
mauj-e-may kahiye ki angadaai ki abroo kahiye
istifaada hai ye ashaar nahin hain qaisar
shaana-e-'meer pe bikhre hue gesu kahiye
हर तबीअ'त को जहाँ प्यार भरी ख़ू कहिए
कौन से फूल को उस बाग़ की ख़ुशबू कहिए
दूर तक भी कोई सहरा है न गुलशन न क़याम
रहबर-ए-शौक़ को आगाह-ए-मन-ओ-तू कहिए
हम अभी दिल में तुझे ढूँडने से क़ासिर हैं
ये अलग बात कि जल्वे तिरे हर सू कहिए
आज की रात किसी बात का शिकवा क्यों हो
आप कहिए कभी तुम कहिए कभी तू कहिए
एक मेहराब सी मस्जिद की नज़र आती है
मौज-ए-मय कहिए कि अंगड़ाई कि अबरू कहिए
इस्तिफ़ादा है ये अशआ'र नहीं हैं 'क़ैसर'
शाना-ए-'मीर' पे बिखरे हुए गेसू कहिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qaisar Haideri Dehlvi
our suggestion based on Qaisar Haideri Dehlvi
As you were reading Gulshan Shayari Shayari