jab tiri zulf-e-siyah-faam sanwarti hogi
kitni duniya tire jalwoen se nikhrati hogi
aaj tak bhi tire jalvo ko na puhunchiin nazrein
kab koi aankh tire rukh pe thaharti hogi
kitni gahraaiyon mein doobti hogi hasti
jab koi baat kisi dil mein utarti hogi
ai mere dil ye ghareeb-ul-watani kaisi hai
kis ke pahluu mein tiri raat guzarti hogi
waqt ke saaye to chadhte hain utar jaate hain
apne mehwar pe kahaan dhoop thaharti hogi
jis tarah raat guzar jaati hai tanhaai mein
ghaliban aise hi turbat mein guzarti hogi
vo muqaddar nahin ilzaam na jis par aaye
qaisar us daur mein kis tarah guzarti hogi
जब तिरी ज़ुल्फ़-ए-सियह-फ़ाम सँवरती होगी
कितनी दुनिया तिरे जलवोें से निखरती होगी
आज तक भी तिरे जल्वों को न पहुँचीं नज़रें
कब कोई आँख तिरे रुख़ पे ठहरती होगी
कितनी गहराइयों में डूबती होगी हस्ती
जब कोई बात किसी दिल में उतरती होगी
ऐ मिरे दिल ये ग़रीब-उल-वतनी कैसी है
किस के पहलू में तिरी रात गुज़रती होगी
वक़्त के साए तो चढ़ते हैं उतर जाते हैं
अपने मेहवर पे कहाँ धूप ठहरती होगी
जिस तरह रात गुज़र जाती है तन्हाई में
ग़ालिबन ऐसे ही तुर्बत में गुज़रती होगी
वो मुक़द्दर नहीं इल्ज़ाम न जिस पर आए
'क़ैसर' उस दौर में किस तरह गुज़रती होगी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qaisar Haideri Dehlvi
our suggestion based on Qaisar Haideri Dehlvi
As you were reading Nazar Shayari Shayari