jalwa-firoz dil mein hai vo gul-ezaar aaj | जल्वा-फरोज़ दिल में है वो गुल-एज़ार आज

  - Qaisar Haideri Dehlvi

jalwa-firoz dil mein hai vo gul-ezaar aaj
uf re khizaan-raseeda chaman ki bahaar aaj

dono ko har taraf hai tira intizaar aaj
dil ko qaraar hai na nazar ko qaraar aaj

dekhen to choom len dam-e-aaraish aaina
un ko bhi apni shakl pe aa jaaye pyaar aaj

lo intiha-e-shauq ne deewaana kar diya
main hans raha hoon subh se be-ikhtiyaar aaj

dil mahw-e-izztiraab to lab sirf waah vaa
kitne maze ki hai khalish-e-intezaar aaj

जल्वा-फरोज़ दिल में है वो गुल-एज़ार आज
उफ़ रे ख़िज़ाँ-रसीदा चमन की बहार आज

दोनों को हर तरफ़ है तिरा इंतिज़ार आज
दिल को क़रार है न नज़र को क़रार आज

देखें तो चूम लें दम-ए-आराइश आईना
उन को भी अपनी शक्ल पे आ जाए प्यार आज

लो इंतिहा-ए-शौक़ ने दीवाना कर दिया
मैं हँस रहा हूँ सुब्ह से बे-इख़्तियार आज

दिल महव-ए-इज़्तिराब तो लब सिर्फ़ वाह वा
कितने मज़े की है ख़लिश-ए-इंतिज़ार आज

  - Qaisar Haideri Dehlvi

Shama Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qaisar Haideri Dehlvi

As you were reading Shayari by Qaisar Haideri Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Qaisar Haideri Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Shama Shayari Shayari