jo mumkin ho to soz-e-sham'a parwaane mein rakh dena
ab is afsaane ka unwaan afsaane mein rakh dena
badi kaafir kashish eemaan mein hai ai aazim-e-ka'baa
na le jaana dil apne saath but-khaane mein rakh dena
mera dil bhi sharaab-e-ishq se labreiz hai saaqi
ye bottle bhi uda kar kaag maykhaane mein rakh dena
abhi aaina-e-tasveer abhi hushyaar abhi ghaafil
tumhein aata hai har andaaz deewane mein rakh dena
mera paimaana-e-hasti agar saaqi chhalk jaaye
mere hisse ka khaali jaam maykhaane mein rakh dena
shareek-e-may janaab-e-sheikh bhi ho jaayenge saaqi
zara zarf-e-wazoo ka dhang paimaane mein rakh dena
ye kya dast-e-ajl ko kaam saunpa hai mashiyyat ne
chaman se todna phool aur veeraane mein rakh dena
wafur-e-yaas mein qaisar chale hain dil se chand aansu
ye laashein hain inhen aankhon ke khas-khaane mein rakh dena
जो मुमकिन हो तो सोज़-ए-शम'अ परवाने में रख देना
अब इस अफ़्साने का उन्वान अफ़्साने में रख देना
बड़ी काफ़िर कशिश ईमाँ में है ऐ आज़िम-ए-का'बा
न ले जाना दिल अपने साथ बुत-ख़ाने में रख देना
मिरा दिल भी शराब-ए-इश्क़ से लबरेज़ है साक़ी
ये बोतल भी उड़ा कर काग मयख़ाने में रख देना
अभी आईना-ए-तस्वीर अभी हुश्यार अभी ग़ाफ़िल
तुम्हें आता है हर अंदाज़ दीवाने में रख देना
मिरा पैमाना-ए-हस्ती अगर साक़ी छलक जाए
मिरे हिस्से का ख़ाली जाम मयख़ाने में रख देना
शरीक-ए-मय जनाब-ए-शैख़ भी हो जाएँगे साक़ी
ज़रा ज़र्फ़-ए-वज़ू का ढंग पैमाने में रख देना
ये क्या दस्त-ए-अजल को काम सौंपा है मशिय्यत ने
चमन से तोड़ना फूल और वीराने में रख देना
वफ़ूर-ए-यास में 'क़ैसर' चले हैं दिल से चंद आँसू
ये लाशें हैं इन्हें आँखों के ख़स-ख़ाने में रख देना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qaisar Haideri Dehlvi
our suggestion based on Qaisar Haideri Dehlvi
As you were reading Relationship Shayari Shayari