kisi ka haath daaman par kisi ka sar garebaan mein | किसी का हाथ दामन पर किसी का सर गरेबाँ में

  - Qaisar Haideri Dehlvi

kisi ka haath daaman par kisi ka sar garebaan mein
ye deewane bhi gul-charre udaate hain biyaabaan mein

samaa kar rah gaya har un ka jalwa qalb-e-sozaan mein
kahaan se itni wusa'at aa gai is tang-daamaan mein

saleeqa khaak udaane ka badi mushkil se aata hai
bagule sar patak kar rah gaye aakhir biyaabaan mein

hasi kaliyon ke lab par hai qaba-e-gul ke tukde hain
sabhi par chha gai deewaangi ab ke gulistaan mein

qareeb aaya zamaana jab bhi ahad-e-gul ki ruksat ka
uljh kar rah gaya dast-e-junoon taar-e-garebaan mein

suwaida but-kada hai dil haram nazrein pujaari hain
yahan tafriq bhi kuchh hai to ye hai kufr-o-imaan mein

iqaamat ke liye kya wusa'at-e-kaunain kuchh kam thi
abas angadaai li tum ne dil-e-nazzaara-samaan mein

jo aankhon se lagaaye gul to kaante rakh liye dil mein
mujhe dono hi se qaisar ilaqa tha gulistaan mein

किसी का हाथ दामन पर किसी का सर गरेबाँ में
ये दीवाने भी गुल-छर्रे उड़ाते हैं बयाबाँ में

समा कर रह गया हर उन का जल्वा क़ल्ब-ए-सोज़ाँ में
कहाँ से इतनी वुसअ'त आ गई इस तंग-दामाँ में

सलीक़ा ख़ाक उड़ाने का बड़ी मुश्किल से आता है
बगूले सर पटक कर रह गए आख़िर बयाबाँ में

हँसी कलियों के लब पर है क़बा-ए-गुल के टुकड़े हैं
सभी पर छा गई दीवानगी अब के गुलिस्ताँ में

क़रीब आया ज़माना जब भी अहद-ए-गुल की रुख़्सत का
उलझ कर रह गया दस्त-ए-जुनूँ तार-ए-गरेबाँ में

सुवैदा बुत-कदा है दिल हरम नज़रें पुजारी हैं
यहाँ तफ़रीक़ भी कुछ है तो ये है कुफ़्र-ओ-ईमाँ में

इक़ामत के लिए क्या वुसअ'त-ए-कौनैन कुछ कम थी
अबस अंगड़ाई ली तुम ने दिल-ए-नज़्ज़ारा-सामाँ में

जो आँखों से लगाए गुल तो काँटे रख लिए दिल में
मुझे दोनों ही से 'क़ैसर' इलाक़ा था गुलिस्ताँ में

  - Qaisar Haideri Dehlvi

Kanta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qaisar Haideri Dehlvi

As you were reading Shayari by Qaisar Haideri Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Qaisar Haideri Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Kanta Shayari Shayari