muddaa dil ka kabhi lab aashna hota nahin
ishq ka mafhoom lafzon mein ada hota nahin
husn waalon ka karam dil par rawa hota nahin
ye khabar hoti to un par mubtala hota nahin
maut se bad-tar hai tere aasre par zindagi
kaash koi zindagi ka aasraa hota nahin
aap ke hamraah sab daaman-kashaan hone lage
aaj dil mein dard bhi kal se siva hota nahin
hijr ka gham har ghadi hai saath saaye ki tarah
ya'ni taarikee mein bhi mujh se juda hota nahin
main gada-e-koo-e-jaanaan hoon to sab hain ta'na-zan
warna qaisar aalam-e-imkaan mein kya hota nahin
मुद्दआ दिल का कभी लब आश्ना होता नहीं
इश्क़ का मफ़्हूम लफ़्ज़ों में अदा होता नहीं
हुस्न वालों का करम दिल पर रवा होता नहीं
ये ख़बर होती तो उन पर मुब्तला होता नहीं
मौत से बद-तर है तेरे आसरे पर ज़िंदगी
काश कोई ज़िंदगी का आसरा होता नहीं
आप के हमराह सब दामन-कशाँ होने लगे
आज दिल में दर्द भी कल से सिवा होता नहीं
हिज्र का ग़म हर घड़ी है साथ साए की तरह
या'नी तारीकी में भी मुझ से जुदा होता नहीं
मैं गदा-ए-कू-ए-जानाँ हूँ तो सब हैं ता'ना-ज़न
वर्ना 'क़ैसर' आलम-ए-इम्काँ में क्या होता नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qaisar Haideri Dehlvi
our suggestion based on Qaisar Haideri Dehlvi
As you were reading Chehra Shayari Shayari