teri be-rukhi meri maut thi hua iltifaat kabhi kabhi | तेरी बे-रुख़ी मिरी मौत थी हुआ इल्तिफ़ात कभी कभी

  - Qaisar Haideri Dehlvi

teri be-rukhi meri maut thi hua iltifaat kabhi kabhi
tire iltifaat ki khair ho ki mili hayaat kabhi kabhi

rah-e-aarzoo mein kahi kahi mujhe rok dete hain haadse
gham-e-ishq hai mera mustaqil gham-e-kaayenaat kabhi kabhi

meri jumbish-e-lab-e-gham-zada jo tire mizaaj pe baar hai
mere aansuon ki zabaan se sun gham-e-dil ki baat kabhi kabhi

nahin ek haal mein kuchh maza karo chaashni bhi mujhe ata
meri zindagi ke sukoot mein nayi waardaat kabhi kabhi

vo jahaan kahi nazar aa gaye bada ittifaq haseen raha
mujhe teergi thi naseeb mein mili chaand raat kabhi kabhi

main zameen-navard tha ishq mein magar aise mod bhi aa gaye
mah-o-mehr tak mujhe le gaya safar-e-hayaat kabhi kabhi

tira qaisar amn-o-sukoon mein bhi na bacha fareb-e-jamaal se
tiri ik nigaah se khul gaya dar-e-haadsaat kabhi kabhi

तेरी बे-रुख़ी मिरी मौत थी हुआ इल्तिफ़ात कभी कभी
तिरे इल्तिफ़ात की ख़ैर हो कि मिली हयात कभी कभी

रह-ए-आरज़ू में कहीं कहीं मुझे रोक देते हैं हादसे
ग़म-ए-इश्क़ है मिरा मुस्तक़िल ग़म-ए-काएनात कभी कभी

मिरी जुम्बिश-ए-लब-ए-ग़म-ज़दा जो तिरे मिज़ाज पे बार है
मिरे आंसुओं की ज़बाँ से सुन ग़म-ए-दिल की बात कभी कभी

नहीं एक हाल में कुछ मज़ा करो चाशनी भी मुझे अता
मिरी ज़िंदगी के सुकूत में नई वारदात कभी कभी

वो जहाँ कहीं नज़र आ गए बड़ा इत्तिफ़ाक़ हसीं रहा
मुझे तीरगी थी नसीब में मिली चाँद रात कभी कभी

मैं ज़मीं-नवर्द था इश्क़ में मगर ऐसे मोड़ भी आ गए
मह-ओ-मेहर तक मुझे ले गया सफ़र-ए-हयात कभी कभी

तिरा 'क़ैसर' अम्न-ओ-सुकूँ में भी न बचा फ़रेब-ए-जमाल से
तिरी इक निगाह से खुल गया दर-ए-हादसात कभी कभी

  - Qaisar Haideri Dehlvi

Urdu Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qaisar Haideri Dehlvi

As you were reading Shayari by Qaisar Haideri Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Qaisar Haideri Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Urdu Shayari Shayari