umr thodi hai aur kaam bahut
zindagi bhi hai tez-gaam bahut
aa to pahunchen hain apni manzil par
haan magar ho gai hai shaam bahut
taair-e-dil ki sab nazar mein hai
yun to phaile hue hain daam bahut
umr bhar kaif kam nahin hota
peene waale ko ek jaam bahut
peene waalon ka zarf hai darkaar
sheesha saaqi suraahi jaam bahut
daur-e-jamhoor mein bhi ai qaisar
log karte hain kyun salaam bahut
उम्र थोड़ी है और काम बहुत
ज़िंदगी भी है तेज़-गाम बहुत
आ तो पहुँचे हैं अपनी मंज़िल पर
हाँ मगर हो गई है शाम बहुत
ताइर-ए-दिल की सब नज़र में है
यूँ तो फैले हुए हैं दाम बहुत
उम्र भर कैफ़ कम नहीं होता
पीने वाले को एक जाम बहुत
पीने वालों का ज़र्फ़ है दरकार
शीशा साक़ी सुराही जाम बहुत
दौर-ए-जम्हूर में भी ऐ 'क़ैसर'
लोग करते हैं क्यों सलाम बहुत
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qaisar Haideri Dehlvi
our suggestion based on Qaisar Haideri Dehlvi
As you were reading Maikada Shayari Shayari