deewaron se mil kar rona achha lagta hai | दीवारों से मिल कर रोना अच्छा लगता है - Qaisar-ul-Jafri

deewaron se mil kar rona achha lagta hai
hum bhi paagal ho jaayenge aisa lagta hai

kitne dinon ke pyaase honge yaaro socho to
shabnam ka qatra bhi jin ko dariya lagta hai

aankhon ko bhi le dooba ye dil ka paagal-pan
aate jaate jo milta hai tum sa lagta hai

is basti mein kaun hamaare aansu ponchega
jo milta hai us ka daaman bheega lagta hai

duniya bhar ki yaadein hum se milne aati hain
shaam dhale is soone ghar mein mela lagta hai

kis ko patthar maarun qaisar kaun paraaya hai
sheesh-mahal mein ik ik chehra apna lagta hai

दीवारों से मिल कर रोना अच्छा लगता है
हम भी पागल हो जाएँगे ऐसा लगता है

कितने दिनों के प्यासे होंगे यारो सोचो तो
शबनम का क़तरा भी जिन को दरिया लगता है

आँखों को भी ले डूबा ये दिल का पागल-पन
आते जाते जो मिलता है तुम सा लगता है

इस बस्ती में कौन हमारे आँसू पोंछेगा
जो मिलता है उस का दामन भीगा लगता है

दुनिया भर की यादें हम से मिलने आती हैं
शाम ढले इस सूने घर में मेला लगता है

किस को पत्थर मारूँ 'क़ैसर' कौन पराया है
शीश-महल में इक इक चेहरा अपना लगता है

- Qaisar-ul-Jafri
5 Likes

DP Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qaisar-ul-Jafri

As you were reading Shayari by Qaisar-ul-Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Qaisar-ul-Jafri

Similar Moods

As you were reading DP Shayari Shayari