tumhaare shehar ka mausam bada suhaana lage | तुम्हारे शहर का मौसम बड़ा सुहाना लगे - Qaisar-ul-Jafri

tumhaare shehar ka mausam bada suhaana lage
main ek shaam chura loon agar bura na lage

tumhaare bas mein agar ho to bhool jaao mujhe
tumhein bhulaane mein shaayad mujhe zamaana lage

jo doobna hai to itne sukoon se doobo
ki aas-paas ki lehron ko bhi pata na lage

vo phool jo mere daaman se ho gaye mansoob
khuda kare unhen bazaar ki hawa na lage

na jaane kya hai kisi ki udaas aankhon mein
vo munh chhupa ke bhi jaaye to bewafa na lage

tu is tarah se mere saath bewafaai kar
ki tere baad mujhe koi bewafa na lage

tum aankh moond ke pee jaao zindagi qaisar
ki ek ghoont mein mumkin hai bad-maza na lage

तुम्हारे शहर का मौसम बड़ा सुहाना लगे
मैं एक शाम चुरा लूं अगर बुरा न लगे

तुम्हारे बस में अगर हो तो भूल जाओ मुझे
तुम्हें भुलाने में शायद मुझे ज़माना लगे

जो डूबना है तो इतने सुकून से डूबो
कि आस-पास की लहरों को भी पता न लगे

वो फूल जो मिरे दामन से हो गए मंसूब
ख़ुदा करे उन्हें बाज़ार की हवा न लगे

न जाने क्या है किसी की उदास आंखों में
वो मुंह छुपा के भी जाए तो बेवफ़ा न लगे

तू इस तरह से मिरे साथ बेवफ़ाई कर
कि तेरे बाद मुझे कोई बेवफ़ा न लगे

तुम आंख मूंद के पी जाओ ज़िंदगी 'क़ैसर'
कि एक घूंट में मुमकिन है बद-मज़ा न लगे

- Qaisar-ul-Jafri
40 Likes

Sukoon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qaisar-ul-Jafri

As you were reading Shayari by Qaisar-ul-Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Qaisar-ul-Jafri

Similar Moods

As you were reading Sukoon Shayari Shayari