aaj barson mein to qismat se mulaqaat hui
aap munh fer ke baithe hain ye kya baat hui
ud gai khaak-e-dil-o-jaan to vo rone baithe
bastiyaan jal gaeein jab toot ke barsaat hui
tum mere saath the jab tak to safar raushan tha
sham'a jis mod pe chhooti hai wahin raat hui
is mohabbat se mila hai vo sitamgar ham se
jitne shikwe na hue utni mudaarat hui
ek lamha tha ajab us ki shanaasaai ka
kitne na-deeda zamaanon se mulaqaat hui
qatl ho jaati hai is daur mein dil ki awaaz
mujh pe talwaar na tooti ye karaamaat hui
gaav ke gaav bujhaane ko hawa aayi thi
mere maasoom charaagon se shuruaat hui
shayari pehle rasoolon ki dua thi qaisar
aaj is ahad mein ik shobda-e-zaat hui
आज बरसों में तो क़िस्मत से मुलाक़ात हुई
आप मुँह फेर के बैठे हैं ये क्या बात हुई
उड़ गई ख़ाक-ए-दिल-ओ-जाँ तो वो रोने बैठे
बस्तियाँ जल गईं जब टूट के बरसात हुई
तुम मिरे साथ थे जब तक तो सफ़र रौशन था
शम्अ जिस मोड़ पे छूटी है वहीं रात हुई
इस मोहब्बत से मिला है वो सितमगर हम से
जितने शिकवे न हुए उतनी मुदारात हुई
एक लम्हा था अजब उस की शनासाई का
कितने नादीदा ज़मानों से मुलाक़ात हुई
क़त्ल हो जाती है इस दौर में दिल की आवाज़
मुझ पे तलवार न टूटी ये करामात हुई
गाँव के गाँव बुझाने को हवा आई थी
मेरे मासूम चराग़ों से शुरूआत हुई
शायरी पहले रसूलों की दुआ थी 'क़ैसर'
आज इस अहद में इक शोबदा-ए-ज़ात हुई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qaisarul Jafri
our suggestion based on Qaisarul Jafri
As you were reading Baarish Shayari Shayari