ahad-e-junoon mein baithe baithe jo ghazlein likh daali theen
ham ko rusva duniya bhar ko paagal karne waali theen
aankhon mein vo shaam ka tukda akshar chubhta rehta hai
ghar mein aandhi jab aayi thi shamaein jalne waali theen
chaand sitaare toot rahe the khwaabon ki anganaai mein
aankh khuli to dekha ghar ki sab deewarein kaali theen
chutki bhar ummeed nahin thi qaasa le kar kya firte
shehr-e-wafa ki saari galiyaan apni dekhi-bhaali theen
pyaar ka mausam beet chuka tha basti mein jab pahunchen ham
logon ne phoolon ke badle talwaarein mangwa li theen
qaisar dil ka haal suna kar jab yaaron ka munh dekha
sab ke chehre sukhe sukhe sab ki aankhen khaali theen
अहद-ए-जुनूँ में बैठे बैठे जो ग़ज़लें लिख डाली थीं
हम को रुस्वा दुनिया भर को पागल करने वाली थीं
आँखों में वो शाम का टुकड़ा अक्सर चुभता रहता है
घर में आँधी जब आई थी शमएँ जलने वाली थीं
चाँद सितारे टूट रहे थे ख़्वाबों की अँगनाई में
आँख खुली तो देखा घर की सब दीवारें काली थीं
चुटकी भर उम्मीद नहीं थी कासा ले कर क्या फिरते
शहर-ए-वफ़ा की सारी गलियाँ अपनी देखी-भाली थीं
प्यार का मौसम बीत चुका था बस्ती में जब पहुँचे हम
लोगों ने फूलों के बदले तलवारें मँगवा ली थीं
'क़ैसर' दिल का हाल सुना कर जब यारों का मुँह देखा
सब के चेहरे सूखे सूखे सब की आँखें ख़ाली थीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qaisarul Jafri
our suggestion based on Qaisarul Jafri
As you were reading Kashmir Shayari Shayari