daanishwaron ke bas mein ye radd-e-amal na tha | दानिशवरों के बस में ये रद्द-ए-अमल न था

  - Qaisarul Jafri

daanishwaron ke bas mein ye radd-e-amal na tha
main aisi teg le ke utha jis mein fal na tha

kya dard toot toot ke barsa hai raat bhar
itna ghubaar to mere chehre pe kal na tha

pathraav kar raha hai vo khud apni zaat par
kya dil ke masale ka koi aur hal na tha

shaakhen ladi hui theen to patthar na tha naseeb
patthar pade mile to darakhton mein fal na tha

shab ki hawa se haar gai mere dil ki aag
yakh-basta shehar mein koi radd-o-badal na tha

ab ek ek harf se chhanti hai raushni
tum se mile na the to ye husn-e-ghazal na tha

qaisar zameer-e-waqt ko dekha kured ke
sadiyaan rakhi theen dosh pe mutthi mein pal na tha

दानिशवरों के बस में ये रद्द-ए-अमल न था
मैं ऐसी तेग़ ले के उठा जिस में फल न था

क्या दर्द टूट टूट के बरसा है रात भर
इतना ग़ुबार तो मिरे चेहरे पे कल न था

पथराव कर रहा है वो ख़ुद अपनी ज़ात पर
क्या दिल के मसअले का कोई और हल न था

शाख़ें लदी हुई थीं तो पत्थर न था नसीब
पत्थर पड़े मिले तो दरख़्तों में फल न था

शब की हवा से हार गई मेरे दिल की आग
यख़-बस्ता शहर में कोई रद्द-ओ-बदल न था

अब एक एक हर्फ़ से छनती है रौशनी
तुम से मिले न थे तो ये हुस्न-ए-ग़ज़ल न था

'क़ैसर'! ज़मीर-ए-वक़्त को देखा कुरेद के
सदियाँ रखी थीं दोश पे मुट्ठी में पल न था

  - Qaisarul Jafri

Gaon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qaisarul Jafri

As you were reading Shayari by Qaisarul Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Qaisarul Jafri

Similar Moods

As you were reading Gaon Shayari Shayari