dar-o-deewar pe hijrat ke nishaan dekh aayein
aao ham apne buzurgon ke makaan dekh aayein
aao bheegi hui aankhon se padhen nauha-e-dil
aao bikhre hue rishton ka ziyaan dekh aayein
toota toota hua dil le ke phiren galiyon mein
kacchi mitti ke khilauno ki dukaaan dekh aayein
raushni ke kahi aasaar to baaki honge
aao pighli hui shamon ka dhuaan dekh aayein
jin darakhton ke tale raqs-e-saba hota tha
sukhe patton ka barsna bhi wahan dekh aayein
ab farishton ke siva koi na aata hoga
kaun deta hai kharaabon mein azaan dekh aayein
muddaton b'ad muhaajir ki tarah aaye hain
rooth jaaye na khandar aao miyaan dekh aayein
दर-ओ-दीवार पे हिजरत के निशाँ देख आएँ
आओ हम अपने बुज़ुर्गों के मकाँ देख आएँ
आओ भीगी हुई आँखों से पढ़ें नौहा-ए-दिल
आओ बिखरे हुए रिश्तों का ज़ियाँ देख आएँ
टूटा टूटा हुआ दिल ले के फिरें गलियों में
कच्ची मिट्टी के खिलौनों की दुकाँ देख आएँ
रौशनी के कहीं आसार तो बाक़ी होंगे
आओ पिघली हुई शम्ओं का धुआँ देख आएँ
जिन दरख़्तों के तले रक़्स-ए-सबा होता था
सूखे पत्तों का बरसना भी वहाँ देख आएँ
अब फ़रिश्तों के सिवा कोई न आता होगा
कौन देता है ख़राबों में अज़ाँ देख आएँ
मुद्दतों ब'अद मुहाजिर की तरह आए हैं
रूठ जाए न खंडर आओ मियाँ देख आएँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qaisarul Jafri
our suggestion based on Qaisarul Jafri
As you were reading Ujaala Shayari Shayari