dast-e-tanhaai mein kal raat hawa kaisi thi | दश्त-ए-तन्हाई में कल रात हवा कैसी थी

  - Qaisarul Jafri

dast-e-tanhaai mein kal raat hawa kaisi thi
der tak tootte lamhon ki sada kaisi thi

zindagi ne mera peecha nahin chhodaa ab tak
umr bhar sar se na utri ye bala kaisi thi

sunte rahte the mohabbat ke fasaane kya kya
boond bhar dil pe na barsi ye ghatta kaisi thi

kya mila faisla-e-tark-e-taalluq kar ke
tum jo bichhde the to honton pe dua kaisi thi

toot kar khud jo vo bikhra hai to maaloom hua
jis se lipta tha vo deewaar-e-ana kaisi thi

jism se noch ke phenki bhi to khushboo na gai
ye rivaayat ki bosida qaba kaisi thi

doobte waqt bhanwar pooch raha hai qaisar
jab kinaare se chale the to fazaa kaisi thi

दश्त-ए-तन्हाई में कल रात हवा कैसी थी
देर तक टूटते लम्हों की सदा कैसी थी

ज़िंदगी ने मिरा पीछा नहीं छोड़ा अब तक
उम्र भर सर से न उतरी ये बला कैसी थी

सुनते रहते थे मोहब्बत के फ़साने क्या क्या
बूँद भर दिल पे न बरसी ये घटा कैसी थी

क्या मिला फ़ैसला-ए-तर्क-ए-तअल्लुक़ कर के
तुम जो बिछड़े थे तो होंटों पे दुआ कैसी थी

टूट कर ख़ुद जो वो बिखरा है तो मालूम हुआ
जिस से लिपटा था वो दीवार-ए-अना कैसी थी

जिस्म से नोच के फेंकी भी तो ख़ुशबू न गई
ये रिवायात की बोसीदा क़बा कैसी थी

डूबते वक़्त भँवर पूछ रहा है 'क़ैसर'
जब किनारे से चले थे तो फ़ज़ा कैसी थी

  - Qaisarul Jafri

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qaisarul Jafri

As you were reading Shayari by Qaisarul Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Qaisarul Jafri

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari