din ki bedard thakan chehre pe le kar mat ja | दिन की बेदर्द थकन चेहरे पे ले कर मत जा

  - Qaisarul Jafri

din ki bedard thakan chehre pe le kar mat ja
baam-o-dar jaag rahe honge abhi ghar mat ja

mere purkhon ki viraasat ka bharam rahne de
tu haveli ko khula dekh ke andar mat ja

boond bhar dard sambhalta nahin kam-zarfon se
rakh ke tu apni hatheli pe samundar mat ja

footne de meri palkon se zara aur lahu
ai meri neend abhi chhod ke bistar mat ja

kuchh to rahne de abhi tark-e-wafa ki khaatir
tujh ko jaana hai to ja haath jhatak kar mat ja

aur kuchh der ye mask-e-nigah-e-naaz sahi
saamne baith abhi fenk ke khanjar mat ja

dhoop kya hai tujhe andaaza nahin hai qaisar
aable paanv mein pad jaayenge baahar mat ja

दिन की बेदर्द थकन चेहरे पे ले कर मत जा
बाम-ओ-दर जाग रहे होंगे अभी घर मत जा

मेरे पुरखों की विरासत का भरम रहने दे
तू हवेली को खुला देख के अंदर मत जा

बूँद भर दर्द सँभलता नहीं कम-ज़र्फ़ों से
रख के तू अपनी हथेली पे समुंदर मत जा

फूटने दे मिरी पलकों से ज़रा और लहू
ऐ मिरी नींद अभी छोड़ के बिस्तर मत जा

कुछ तो रहने दे अभी तर्क-ए-वफ़ा की ख़ातिर
तुझ को जाना है तो जा हाथ झटक कर मत जा

और कुछ देर ये मश्क़-ए-निगह-ए-नाज़ सही
सामने बैठ अभी फेंक के ख़ंजर मत जा

धूप क्या है तुझे अंदाज़ा नहीं है 'क़ैसर'
आबले पाँव में पड़ जाएँगे बाहर मत जा

  - Qaisarul Jafri

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qaisarul Jafri

As you were reading Shayari by Qaisarul Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Qaisarul Jafri

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari