doobne waalo hawaon ka hunar kaisa laga
ye kinaara ye samundar ye bhanwar kaisa laga
ponchte jaaie daaman se lahu maathe ka
sochte jaaie deewaar ko sar kaisa laga
hat gai chaanv magar log wahin baithe hain
dasht ki dhoop mein jaane vo shajar kaisa laga
dar-o-deewar hain main hoon meri tanhaai hai
chaandni raat se poocho mera ghar kaisa laga
is se pehle kabhi ponche the kisi ne aansu
un ka daaman tujhe ai deeda-e-tar kaisa laga
sahal theen marhala-e-tark-e-wafa tak raahen
is se aage koi pooche ki safar kaisa laga
aankh se dekh liya tark-e-watan ka manzar
ghar jahaan chhod gaye the vo khandar kaisa laga
vo mujhe sun ke badi der se chup hai qaisar
jaane us ko meri ghazalon ka hunar kaisa laga
डूबने वालो हवाओं का हुनर कैसा लगा
ये किनारा ये समुंदर ये भँवर कैसा लगा
पोंछते जाइए दामन से लहू माथे का
सोचते जाइए दीवार को सर कैसा लगा
हट गई छाँव मगर लोग वहीं बैठे हैं
दश्त की धूप में जाने वो शजर कैसा लगा
दर-ओ-दीवार हैं मैं हूँ मिरी तन्हाई है
चाँदनी रात से पूछो मिरा घर कैसा लगा
इस से पहले कभी पोंछे थे किसी ने आँसू
उन का दामन तुझे ऐ दीदा-ए-तर कैसा लगा
सहल थीं मरहला-ए-तर्क-ए-वफ़ा तक राहें
इस से आगे कोई पूछे कि सफ़र कैसा लगा
आँख से देख लिया तर्क-ए-वतन का मंज़र
घर जहाँ छोड़ गए थे वो खंडर कैसा लगा
वो मुझे सुन के बड़ी देर से चुप है 'क़ैसर'
जाने उस को मिरी ग़ज़लों का हुनर कैसा लगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qaisarul Jafri
our suggestion based on Qaisarul Jafri
As you were reading Samundar Shayari Shayari