hawa bahut hai mata-e-safar sanbhaal ke rakh
dareeda chaadar-e-jaan hai magar sanbhaal ke rakh
phir us ke ba'ad to qadren inheen pe utthengi
kuchh aur roz ye deewar-o-dar sanbhaal ke rakh
abhi udaan ke sau imtihaan baaki hain
in aandhiyon mein zara baal-o-par sanbhaal ke rakh
ye ahad kaanp raha hai zameen ke andar tak
tu apna haath bhi deewaar par sanbhaal ke rakh
padhenge log inheen mein kahaaniyaan teri
kuchh aur roz ye daaman-e-tar sanbhaal ke rakh
hawa ke ek hi jhonke ki der hai qaisar
kisi bhi taq pe sham-e-sehr sanbhaal ke rakh
हवा बहुत है मता-ए-सफ़र सँभाल के रख
दरीदा चादर-ए-जाँ है मगर सँभाल के रख
फिर उस के बा'द तो क़द्रें इन्हीं पे उट्ठेंगी
कुछ और रोज़ ये दीवार-ओ-दर सँभाल के रख
अभी उड़ान के सौ इम्तिहान बाक़ी हैं
इन आँधियों में ज़रा बाल-ओ-पर सँभाल के रख
ये अहद काँप रहा है ज़मीं के अंदर तक
तू अपना हाथ भी दीवार पर सँभाल के रख
पढ़ेंगे लोग इन्हीं में कहानियाँ तेरी
कुछ और रोज़ ये दामान-ए-तर सँभाल के रख
हवा के एक ही झोंके की देर है 'क़ैसर'
किसी भी ताक़ पे शम-ए-सहर सँभाल के रख
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qaisarul Jafri
our suggestion based on Qaisarul Jafri
As you were reading Motivational Shayari in Hindi Shayari