is daur ki palkon pe hain aansu ki tarah ham
kuchh der mein ud jaayenge khushboo ki tarah ham
badh kar kisi daaman ne bhi ham ko na sambhaala
aankhon se tapakte rahe aansu ki tarah ham
kis phool se bichhde hain ki firte hain pareshaan
jungle mein bhatkati hui khushboo ki tarah ham
ab din ke ujaale mein hamein kaun pukaare
chamke the kabhi raat mein jugnoo ki tarah ham
har mod pe aayein tire daaman ki hawaaein
har chaanv ko samjhe tire gesu ki tarah ham
qaisar hamein duniya ne samajh kar bhi na samjha
uljhe hi rahe kaakul-e-urdu ki tarah ham
इस दौर की पलकों पे हैं आँसू की तरह हम
कुछ देर में उड़ जाएँगे ख़ुशबू की तरह हम
बढ़ कर किसी दामन ने भी हम को न सँभाला
आँखों से टपकते रहे आँसू की तरह हम
किस फूल से बिछड़े हैं कि फिरते हैं परेशाँ
जंगल में भटकती हुई ख़ुशबू की तरह हम
अब दिन के उजाले में हमें कौन पुकारे
चमके थे कभी रात में जुगनू की तरह हम
हर मोड़ पे आईं तिरे दामन की हवाएँ
हर छाँव को समझे तिरे गेसू की तरह हम
'क़ैसर' हमें दुनिया ने समझ कर भी न समझा
उलझे ही रहे काकुल-ए-उर्दू की तरह हम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qaisarul Jafri
our suggestion based on Qaisarul Jafri
As you were reading Duniya Shayari Shayari