itna sannaata hai basti mein ki dar jaayega
chaand nikla bhi to chup-chaap guzar jaayega
kya khabar thi ki hawa tez chalegi itni
saara sehra mere chehre pe bikhar jaayega
ham kisi mod pe ruk jaayenge chalte chalte
raasta toote hue pul pe thehar jaayega
baadbaanon ne jo ehsaan jataaya us par
beech dariya mein vo kashti se utar jaayega
chalte rahiye ki saf-e-ham-safaraan lambi hai
jis ko raaste mein theharna hai thehar jaayega
dar-o-deewar pe sadiyon ki kohar chhaai hai
ghar mein suraj bhi jo aaya to tithir jaayega
fan vo jugnoo hai jo udta hai hawa mein qaisar
band kar loge jo mutthi mein to mar jaayega
इतना सन्नाटा है बस्ती में कि डर जाएगा
चाँद निकला भी तो चुप-चाप गुज़र जाएगा
क्या ख़बर थी कि हवा तेज़ चलेगी इतनी
सारा सहरा मिरे चेहरे पे बिखर जाएगा
हम किसी मोड़ पे रुक जाएँगे चलते चलते
रास्ता टूटे हुए पुल पे ठहर जाएगा
बादबानों ने जो एहसान जताया उस पर
बीच दरिया में वो कश्ती से उतर जाएगा
चलते रहिए कि सफ़-ए-हम-सफ़राँ लम्बी है
जिस को रस्ते में ठहरना है ठहर जाएगा
दर-ओ-दीवार पे सदियों की कोहर छाई है
घर में सूरज भी जो आया तो ठिठर जाएगा
फ़न वो जुगनू है जो उड़ता है हवा में 'क़ैसर'
बंद कर लोगे जो मुट्ठी में तो मर जाएगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qaisarul Jafri
our suggestion based on Qaisarul Jafri
As you were reading Hunar Shayari Shayari