main pichhli raat kya jaane kahaan tha | मैं पिछली रात क्या जाने कहाँ था

  - Qaisarul Jafri

main pichhli raat kya jaane kahaan tha
duaon ka bhi lahja be-zabaan tha

hawa gum-sum thi soona aashiyaan tha
parinda raat bhar jaane kahaan tha

hawaon mein uda karte the ham bhi
hamaare saamne bhi aasmaan tha

meri taqdeer thi aawaaragardi
mera saara qabeela be-makaan tha

maze se so rahi thi saari basti
jahaan main tha wahin shaayad dhuaan tha

main apni laash par aansu bahaata
mujhe dukh tha magar itna kahaan tha

safar kaata hai kitni mushkilon se
wahan saaya na tha paani jahaan tha

kahaan se aa gai ye khud-numaai
wahin fenk aao aaina jahaan tha

main qatl-e-aam ka shaahid hoon qaisar
ki basti mein mera ooncha makaan tha

मैं पिछली रात क्या जाने कहाँ था
दुआओं का भी लहजा बे-ज़बाँ था

हवा गुम-सुम थी सूना आशियाँ था
परिंदा रात भर जाने कहाँ था

हवाओं में उड़ा करते थे हम भी
हमारे सामने भी आसमाँ था

मिरी तक़दीर थी आवारागर्दी
मिरा सारा क़बीला बे-मकाँ था

मज़े से सो रही थी सारी बस्ती
जहाँ मैं था वहीं शायद धुआँ था

मैं अपनी लाश पर आँसू बहाता
मुझे दुख था मगर इतना कहाँ था

सफ़र काटा है कितनी मुश्किलों से
वहाँ साया न था पानी जहाँ था

कहाँ से आ गई ये ख़ुद-नुमाई
वहीं फेंक आओ आईना जहाँ था

मैं क़त्ल-ए-आम का शाहिद हूँ 'क़ैसर'
कि बस्ती में मिरा ऊँचा मकाँ था

  - Qaisarul Jafri

Aasman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qaisarul Jafri

As you were reading Shayari by Qaisarul Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Qaisarul Jafri

Similar Moods

As you were reading Aasman Shayari Shayari