maayusi ki barf padi thi lekin mausam sard na tha | मायूसी की बर्फ़ पड़ी थी लेकिन मौसम सर्द न था

  - Qaisarul Jafri

maayusi ki barf padi thi lekin mausam sard na tha
aaj se pehle dil mein yaaro itna thanda dard na tha

tanhaai ki bojhal raatein pehle bhi to barsi theen
zakham nahin the itne qaateel gham itna be-dard na tha

firte hain ab rusva hote kal tak ye raftaar na thi
shehar mein theen sau koo-e-malaamat dil aawaara-gard na tha

marne par bhi lau deti thi deewane ke dil ki aag
patharaai theen aankhen lekin phool sa chehra zard na tha

harf-e-tasalli mauj-e-hawa the mauj-e-hawa se hota kya
seene ka patthar tha qaisar gham daaman ki gard na tha

मायूसी की बर्फ़ पड़ी थी लेकिन मौसम सर्द न था
आज से पहले दिल में यारो! इतना ठंडा दर्द न था

तन्हाई की बोझल रातें पहले भी तो बरसी थीं
ज़ख़्म नहीं थे इतने क़ातिल ग़म इतना बे-दर्द न था

फिरते हैं अब रुस्वा होते कल तक ये रफ़्तार न थी
शहर में थीं सौ कू-ए-मलामत दिल आवारा-गर्द न था

मरने पर भी लौ देती थी दीवाने के दिल की आग
पथराई थीं आँखें लेकिन फूल सा चेहरा ज़र्द न था

हर्फ़-ए-तसल्ली मौज-ए-हवा थे मौज-ए-हवा से होता क्या
सीने का पत्थर था 'क़ैसर', ग़म दामन की गर्द न था

  - Qaisarul Jafri

Aah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qaisarul Jafri

As you were reading Shayari by Qaisarul Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Qaisarul Jafri

Similar Moods

As you were reading Aah Shayari Shayari