muntashir zehan ki sochon ko ikattha kar do
tum jo aa jaao to shaayad mujhe tanhaa kar do
dar-o-deewar pe padhta rahoon nauha kal ka
is ujaale se to behtar hai andhera kar do
ai mere gham ki chataano kabhi mil kar tooto
is qadar zor se cheekh mujhe bahra kar do
ja rahe ho to mere khwaab bhi lete jaao
dil ujaada hai to aankhon ko bhi sehra kar do
kuchh nahin hai to ye pindaar-e-junoon hai keser
tum ko mil jaaye girebaan to tamasha kar do
मुंतशिर ज़ेहन की सोचों को इकट्ठा कर दो
तुम जो आ जाओ तो शायद मुझे तन्हा कर दो
दर-ओ-दीवार पे पढ़ता रहूँ नौहा कल का
इस उजाले से तो बेहतर है अंधेरा कर दो
ऐ मिरे ग़म की चटानो कभी मिल कर टूटो
इस क़दर ज़ोर से चीख़ो मुझे बहरा कर दो
जा रहे हो तो मिरे ख़्वाब भी लेते जाओ
दिल उजाड़ा है तो आँखों को भी सहरा कर दो
कुछ नहीं है तो ये पिंदार-ए-जुनूँ है केसर
तुम को मिल जाए गिरेबाँ तो तमाशा कर दो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qaisarul Jafri
our suggestion based on Qaisarul Jafri
As you were reading Yaad Shayari Shayari