na sawaal-e-jaam na zikr-e-may usi baankpan se chale gaye
tira zarf dekh ke tishna-lab tiri anjuman se chale gaye
kabhi tu ne socha bhi subh-e-nau ki tamaam raat guzaar ke
jinhen das gai tiri raushni vo kahaan watan se chale gaye
mujhe dhun ki kaakul-e-zindagi jo bikhar gai hai sanwaar doon
tumhein gham ki ishq ke tazkire mere sher-o-fan se chale gaye
tire gesuon se aziz theen jinhen kaayenaat ki uljhane
tira gham samet ke rooh mein tiri anjuman se chale gaye
mere dil ko qaisar-e-be-nava koi gham shikast na de saka
ki uljh ke saikron haadse mere baankpan se chale gaye
न सवाल-ए-जाम न ज़िक्र-ए-मय उसी बाँकपन से चले गए
तिरा ज़र्फ़ देख के तिश्ना-लब तिरी अंजुमन से चले गए
कभी तू ने सोचा भी सुब्ह-ए-नौ कि तमाम रात गुज़ार के
जिन्हें डस गई तिरी रौशनी वो कहाँ वतन से चले गए
मुझे धुन कि काकुल-ए-ज़िंदगी जो बिखर गई है सँवार दूँ
तुम्हें ग़म कि इश्क़ के तज़्किरे मिरे शेर-ओ-फ़न से चले गए
तिरे गेसुओं से अज़ीज़ थीं जिन्हें काएनात की उलझनें
तिरा ग़म समेट के रूह में तिरी अंजुमन से चले गए
मिरे दिल को 'क़ैसर'-ए-बे-नवा कोई ग़म शिकस्त न दे सका
कि उलझ के सैकड़ों हादसे मिरे बाँकपन से चले गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qaisarul Jafri
our suggestion based on Qaisarul Jafri
As you were reading Udas Shayari Shayari