tiri gali mein tamasha kiye zamaana hua | तिरी गली में तमाशा किए ज़माना हुआ

  - Qaisarul Jafri

tiri gali mein tamasha kiye zamaana hua
phir is ke ba'ad na aana hua na jaana hua

kuchh itna toot ke chaaha tha mere dil ne use
vo shakhs meri muravvat mein bewafa na hua

hawa khafa thi magar itni sang-dil bhi na thi
humeen ko sham'a jalane ka hausla na hua

mere khuloos ki saiqal-gari bhi haar gai
vo jaane kaun sa patthar tha aaina na hua

main zahar peeta raha zindagi ke haathon se
ye aur baat hai mera badan haraa na hua

shu'ur chahiye tarteeb-e-khaar-o-khas ke liye
qafas ko tod ke rakha to aashiyana hua

hamaare gaav ki mitti hi ret jaisi thi
ye ek raat ka sailaab to bahaana hua

kisi ke saath gaeein dil ki dhadkanein qaisar
phir is ke ba'ad mohabbat ka haadisa na hua

तिरी गली में तमाशा किए ज़माना हुआ
फिर इस के बा'द न आना हुआ न जाना हुआ

कुछ इतना टूट के चाहा था मेरे दिल ने उसे
वो शख़्स मेरी मुरव्वत में बेवफ़ा न हुआ

हवा ख़फ़ा थी मगर इतनी संग-दिल भी न थी
हमीं को शम्अ जलाने का हौसला न हुआ

मिरे ख़ुलूस की सैक़ल-गरी भी हार गई
वो जाने कौन सा पत्थर था आईना न हुआ

मैं ज़हर पीता रहा ज़िंदगी के हाथों से
ये और बात है मेरा बदन हरा न हुआ

शुऊ'र चाहिए तरतीब-ए-ख़ार-ओ-ख़स के लिए
क़फ़स को तोड़ के रक्खा तो आशियाना हुआ

हमारे गाँव की मिट्टी ही रेत जैसी थी
ये एक रात का सैलाब तो बहाना हुआ

किसी के साथ गईं दिल की धड़कनें 'क़ैसर'
फिर इस के बा'द मोहब्बत का हादिसा न हुआ

  - Qaisarul Jafri

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qaisarul Jafri

As you were reading Shayari by Qaisarul Jafri

Similar Writers

our suggestion based on Qaisarul Jafri

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari