ye zindagi hai ki aaseb ka safar hai miyaan
charaagh le ke nikalna bada hunar hai miyaan
pata chale jo mohabbat ka dard le ke chalo
mere makaan ki gali kitni mukhtasar hai miyaan
nahaayengi meri zau mein hazaar-ha sadiyaan
main vo charaagh nahin hoon jo raat bhar hai miyaan
tumhaari raat pe itna hi tabsira hai bahut
makeen andhere mein hain chaandni mein ghar hai miyaan
likha hai waqt ne sadiyon safar ke ba'ad use
ye daur jhooth sahi phir bhi mo'tabar hai miyaan
milegi raakh na tum ko hamaare chehre par
badan mein rah ke sulagna bada hunar hai miyaan
ab intizaar ki taqat nahin rahi qaisar
kuchh aur roz na socha to sab khandar hai miyaan
ये ज़िंदगी है कि आसेब का सफ़र है मियाँ
चराग़ ले के निकलना बड़ा हुनर है मियाँ
पता चले जो मोहब्बत का दर्द ले के चलो
मिरे मकाँ की गली कितनी मुख़्तसर है मियाँ
नहाएँगी मिरी ज़ौ में हज़ार-हा सदियाँ
मैं वो चराग़ नहीं हूँ जो रात भर है मियाँ
तुम्हारी रात पे इतना ही तब्सिरा है बहुत
मकीं अँधेरे में हैं चाँदनी में घर है मियाँ
लिखा है वक़्त ने सदियों सफ़र के बा'द उसे
ये दौर झूट सही फिर भी मो'तबर है मियाँ
मिलेगी राख न तुम को हमारे चेहरे पर
बदन में रह के सुलगना बड़ा हुनर है मियाँ
अब इंतिज़ार की ताक़त नहीं रही 'क़ैसर'
कुछ और रोज़ न सोचा तो सब खंडर है मियाँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qaisarul Jafri
our suggestion based on Qaisarul Jafri
As you were reading Sach Shayari Shayari