waqt be-waqt muskuraate hain
is tareeqe se gham chhupaate hain
ham ko nuqsaan kii nahin parwa
iska vo faayda uthaate hain
unki baaton mein ghair ke kisse
ham ko sadme mein daal jaate hain
pehle bas aag hi lagaate the
ab to vo ghee bhi daal jaate hain
aap baaton se qatl-e-aam karein
aap talwaar kyun uthaate hain
kii hain jitni bhi nekiyaan ham ne
aao dariya mein daal aate hain
वक़्त बे-वक़्त मुस्कुराते हैं
इस तरीक़े से ग़म छुपाते हैं
हम को नुक़सान की नहीं पर्वा
इसका वो फ़ायदा उठाते हैं
उनकी बातों में ग़ैर के क़िस्से
हम को सदमे में डाल जाते हैं
पहले बस आग ही लगाते थे
अब तो वो घी भी डाल जाते हैं
आप बातों से क़त्ल-ए-आम करें
आप तलवार क्यों उठाते हैं
की हैं जितनी भी नेकियाँ हम ने
आओ दरिया में डाल आते हैं
our suggestion based on RAAJ KUMAR
As you were reading undefined Shayari