khwaahish-e-wasl ne ushshaq ko rusva rakha
husn ne dilkash-o-khush-rang saraapa rakha
apne kirdaar ke daaghoon ko chhupaane ke liye
mere aamaal pe tanqeed ko barpa rakha
mere naa-karda gunaahon ki numaish ke liye
mujh ko zindaan mein laga kar bada taalaa rakha
saaf inkaar na karne ke badal zalim ne
meri dil-bastagi ko waada-e-farda rakha
kaun si cheez giraani ki bulandi pe nahin
khoon-e-naahq magar is daur ne sasta rakha
kar ke mahroom unhen aab-e-ravaan se ham ne
naam be-aab guzargaahon ka dariya rakha
apne qad se mera qad dekha nikalta jo tuhoor
kar ke sar mera qalam apna sar ooncha rakha
ख़्वाहिश-ए-वस्ल ने उश्शाक़ को रुस्वा रक्खा
हुस्न ने दिलकश-ओ-ख़ुश-रंग सरापा रक्खा
अपने किरदार के दाग़ों को छुपाने के लिए
मेरे आमाल पे तन्क़ीद को बरपा रक्खा
मेरे ना-कर्दा गुनाहों की नुमाइश के लिए
मुझ को ज़िंदाँ में लगा कर बड़ा ताला रक्खा
साफ़ इंकार न करने के बदल ज़ालिम ने
मेरी दिल-बस्तगी को वादा-ए-फ़र्दा रक्खा
कौन सी चीज़ गिरानी की बुलंदी पे नहीं
ख़ून-ए-नाहक़ मगर इस दौर ने सस्ता रक्खा
कर के महरूम उन्हें आब-ए-रवाँ से हम ने
नाम बे-आब गुज़रगाहों का दरिया रक्खा
अपने क़द से मिरा क़द देखा निकलता जो 'तुहूर'
कर के सर मेरा क़लम अपना सर ऊँचा रक्खा
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Raeesuddin Tahoor Jafri
As you were reading Kashmir Shayari Shayari