nahin aisa nahin hai pyaas kii shiddat nahin hoti
magar jab paas hote hain to bas jurrat nahin hoti
kisi se ishq karke hamne bhi dekha hai ye yaaro
bahut kuchh kah guzarte hain magar himmat nahin hoti
kisi se kah to dete hain tumhein ham bhool jaayenge
magar phir bhool jaane kii hamein taqat nahin hoti
mere jab saath aaye ho to mera saath do dilbar
taalluq tod kar jaana bhi to chaahat nahin hoti
kisi se dil lagana to bahut aasaan hota hai
magar usko nibhaane kii hamein taqat nahin hoti
sitaaron se jhagdate ho kitaabon se uljhte ho
zara socho ye achhe logon kii aadat nahin hoti
mujhe kal ik pujaari ne bahut samjha ke ye bola
jo sabse pyaar karte hain unhen nafrat nahin hoti
safar lamba ho to ik hum-safar dast-e-safar rakhiye
koii jab saath hota hai to phir diqqat nahin hoti
नहीं ऐसा नहीं है प्यास की शिद्दत नहीं होती
मगर जब पास होते हैं तो बस जुर्रत नहीं होती
किसी से इश्क़ करके हमने भी देखा है ये यारो
बहुत कुछ कह गुज़रते हैं मगर हिम्मत नहीं होती
किसी से कह तो देते हैं तुम्हें हम भूल जाएँगे
मगर फिर भूल जाने की हमें ताक़त नहीं होती
मेरे जब साथ आए हो तो मेरा साथ दो दिलबर
तअल्लुक़ तोड़ कर जाना भी तो चाहत नहीं होती
किसी से दिल लगाना तो बहुत आसान होता है
मगर उसको निभाने की हमें ताक़त नहीं होती
सितारों से झगड़ते हो किताबों से उलझते हो
ज़रा सोचो ये अच्छे लोगों की आदत नहीं होती
मुझे कल इक पुजारी ने बहुत समझा के ये बोला
जो सबसे प्यार करते हैं उन्हें नफ़रत नहीं होती
सफ़र लंबा हो तो इक हम-सफ़र दस्त-ए-सफ़र रखिए
कोई जब साथ होता है तो फिर दिक़्क़त नहीं होती
As you were reading Shayari by Rakesh Mahadiuree
our suggestion based on Rakesh Mahadiuree
As you were reading undefined Shayari