akela ham nahin hai saath mein toofaan hai aakhir ab | अकेले हम नहीं है, साथ में तूफ़ान है आख़िर अब

  - Raunak Karn

akela ham nahin hai saath mein toofaan hai aakhir ab
yahi jo log hai phir saath mein shaitaan hai aakhir ab

hamein ab waqt hi to hai nahin jo yaad se aaye ham
bhale uske liye ham yaar ik anjaan hai aakhir ab

use bas dekhte hi yaar ham to mar gaye yun hi tab
are chal ham nahin achhe ziya haiwaan hai aakhir ab

milenge haan milenge phir kabhi ham bhi wahi pe yaara
jahaan se tu rahi milkar yahi farmaan hain aakhir ab

nahin hai in dilon mein ab jagah to baithne ki yaara
magar baahar bhale chhoti magar daalaan hai aakhir ab

hamaari zindagi mein vo na ho chal theek hai raunak haan
hamaare shakl pe to yaar ye muskaan hai aakhir ab

अकेले हम नहीं है, साथ में तूफ़ान है आख़िर अब
यही जो लोग है फिर साथ में शैतान है आख़िर अब

हमें अब वक़्त ही तो है नहीं, जो याद से आए हम
भले उसके लिए हम यार, इक अंजान है आख़िर अब

उसे बस देखते ही यार हम तो मर गए यूँ ही तब
अरे! चल हम नहीं अच्छे ज़िया हैवान है आख़िर अब

मिलेंगे हाँ मिलेंगे फिर कभी हम भी वही पे यारा
जहाँ से तू रही मिलकर यही फ़रमान हैं आख़िर अब

नहीं है इन दिलों में अब जगह तो बैठने की यारा
मगर बाहर भले छोटी मगर दालान है आख़िर अब

हमारी ज़िंदगी में वो न हो, चल ठीक है 'रौनक' हाँ
हमारे शक्ल पे तो यार ये मुस्कान है आख़िर अब

  - Raunak Karn

Sad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Raunak Karn

As you were reading Shayari by Raunak Karn

Similar Writers

our suggestion based on Raunak Karn

Similar Moods

As you were reading Sad Shayari Shayari