bulaaya hai tumhein to phir bhala ghar kyun nahin jaate | बुलाया है तुम्हें तो फिर भला घर क्यों नहीं जाते

  - Raunak Karn

bulaaya hai tumhein to phir bhala ghar kyun nahin jaate
mujhe apni muhabbat se rihaa kar kyun nahin jaate

jo tum yun ja rahe ho be-khabar hokar humeen se ab
suno sun lo zara phir yaar tum mar kyun nahin jaate

rahe tanhaaiyon mein ham hamesha se hi sach hai ye
magar ab paas se ai yaar lashkar kyun nahin jaate

mujhe jab pyaas thi tab paas mein paani nahin tha par
bujhi ab pyaas hai to phir samandar kyun nahin jaate

nahin hai ab zaroorat is dil-o-jaan kii mujhe sach mein
na jaane paas se mere ye dilbar kyun nahin jaate

बुलाया है तुम्हें तो फिर भला घर क्यों नहीं जाते
मुझे अपनी मुहब्बत से रिहा कर क्यों नहीं जाते

जो तुम यूँ जा रहे हो बे-ख़बर होकर हमीं से अब
सुनो सुन लो ज़रा फिर यार तुम मर क्यों नहीं जाते

रहे तन्हाइयों में हम हमेशा से ही सच है ये
मगर अब पास से ऐ यार लश्कर क्यों नहीं जाते

मुझे जब प्यास थी तब पास में पानी नहीं था पर
बुझी अब प्यास है तो फिर समंदर क्यों नहीं जाते

नहीं है अब ज़रूरत इस दिल-ओ-जाँ की मुझे सच में
न जाने पास से मेरे ये दिलबर क्यों नहीं जाते

  - Raunak Karn

Dosti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Raunak Karn

As you were reading Shayari by Raunak Karn

Similar Writers

our suggestion based on Raunak Karn

Similar Moods

As you were reading Dosti Shayari Shayari