hai bura haal har deewane ka
aur phir dar bhi hai zamaane ka
hai hamein intizaar aane ka
phir tujhe seene se lagaane ka
jhooth to ham kabhi nahin kahte
waqt hai tujhko sach bataane ka
hawle hawle hamein na maaro tum
zahar seedha hamein pilaane ka
kyun hamein de rahe ho tum taana
kya tareeqa hai ye rulaane ka
jaan de sakte hain teri khaatir
jaan hamko na aazmaane ka
jhooth tha pyaar jhooth tha vaada
sab dil-o-jaan se bhulaane ka
mat karo yaad usko itna bhi
khatra rehta hai jaan jaane ka
karna hai jo karo vo tum man se
bolna kaam hai zamaane ka
aaye the pyaar vo bahut lekar
man tha unka bhi chhod jaane ka
soch mat ye main der se aaya
hai yahi waqt mere aane ka
है बुरा हाल हर दिवाने का
और फिर डर भी है ज़माने का
है हमें इंतिज़ार आने का
फिर तुझे सीने से लगाने का
झूट तो हम कभी नहीं कहते
वक़्त है तुझको सच बताने का
हौले हौले हमें न मारो तुम
ज़हर सीधा हमें पिलाने का
क्यों हमें दे रहे हो तुम ताना
क्या तरीक़ा है ये रुलाने का
जान दे सकते हैं तेरी ख़ातिर
जान हमको न आज़माने का
झूट था प्यार झूट था वादा
सब दिल-ओ-जान से भुलाने का
मत करो याद उसको इतना भी
ख़तरा रहता है जान जाने का
करना है जो करो वो तुम मन से
बोलना काम है ज़माने का
आए थे प्यार वो बहुत लेकर
मन था उनका भी छोड़ जाने का
सोच मत ये मैं देर से आया
है यही वक़्त मेरे आने का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Raunak Karn
our suggestion based on Raunak Karn
As you were reading Wahshat Shayari Shayari