hai pyaar mujhko kitna bataana pada use
phir aakhiri mein mujhko bhulaana pada use
pehle to usne pyaar jataaya bahut magar
phir kya hua ki chhod ke jaana pada use
ik roz vo mili to koii baat bhi na kii
munh fer mujhse kyun kahin jaana pada use
har din main usko yaad bhi aata tha aur phir
mujhko yun zehan se bhi mitaana pada use
jab tak raha vo saath use takleef thi bahut
to fasla yun mujhse banaana pada use
raunak ne ye kaha ki muhabbat dikhaava hai
ye baat sach thi sach to jataana pada use
है प्यार मुझको कितना बताना पड़ा उसे
फिर आख़िरी में मुझको भुलाना पड़ा उसे
पहले तो उसने प्यार जताया बहुत मगर
फिर क्या हुआ कि छोड़ के जाना पड़ा उसे
इक रोज़ वो मिली तो कोई बात भी न की
मुँह फेर मुझसे क्यों कहीं जाना पड़ा उसे
हर दिन मैं उसको याद भी आता था और फिर
मुझको यूँ ज़ेहन से भी मिटाना पड़ा उसे
जब तक रहा वो साथ उसे तकलीफ़ थी बहुत
तो फ़ासला यूँ मुझसे बनाना पड़ा उसे
रौनक ने ये कहा कि मुहब्बत दिखावा है
ये बात सच थी सच तो जताना पड़ा उसे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Raunak Karn
our suggestion based on Raunak Karn
As you were reading Baaten Shayari Shayari