hamein vo neend mein bhi ab bulaati hai
sahi mein yaad bhi uski sataati hai
gaya hai lag pata uski saheli se
mujhe apna sabhi ko vo bataati hai
likhe the jo ghazal uske liye maine
sahi mein vo ghazal sabko sunaati hai
rulaaya hai nahin hamko kisi gham ne
hamein jitna sahi mein vo rulaati hai
nahin thi tab use takleef koi bhi
khushi teri yahi baatein bataati hai
kahaan jaaye kise bole tiri baatein
shabistaan mein tujhe kya yaad aati hai
utarta hai yahan baadal magar phir bhi
bina baadal nayan ye bheeg jaati hai
gaya tha paas mein uske sahi mein kal
sahi mein vo mujhe ab bhool jaati hai
हमें वो नींद में भी अब बुलाती है
सही में याद भी उसकी सताती है
गया है लग पता उसकी सहेली से
मुझे अपना सभी को वो बताती है
लिखे थे जो ग़ज़ल उसके लिए मैंने
सही में वो ग़ज़ल सबको सुनाती है
रुलाया है नहीं हमको किसी ग़म ने
हमें जितना सही में वो रुलाती है
नहीं थी तब उसे तकलीफ़ कोई भी
ख़ुशी तेरी यही बातें बताती है
कहाँ जाए किसे बोले तिरी बातें
शबिस्ताँ में तुझे क्या याद आती है
उतरता है यहाँ बादल मगर फिर भी
बिना बादल नयन ये भीग जाती है
गया था पास में उसके सही में कल
सही में वो मुझे अब भूल जाती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Raunak Karn
our suggestion based on Raunak Karn
As you were reading Sach Shayari Shayari