kabhi roye kabhi khoye kabhi tode gaye hain ham
muhabbat bojh thi shaayad are chhode gaye hain ham
nahin karte kabhi izhaar ham apni muhabbat ka
usi ik shakhs ke baaton se hi morde gaye hain ham
muhabbat thi muhabbat hai magar paagal nahin hain ham
kisi paagal se aashiq pe kabhi thode gaye hain ham
karenge naam ham aisa zamaana khoob dekhega
abhi haalaat ke patthar se hi phode gaye hain ham
hamaari bhi talab ho kyun kisi ko bolo bhi raunak
ghareebi jaal hai jisse abhi jode gaye hain ham
कभी रोए कभी खोए कभी तोड़े गए हैं हम
मुहब्बत बोझ थी शायद अरे छोड़े गए हैं हम
नहीं करते कभी इज़हार हम अपनी मुहब्बत का
उसी इक शख़्स के बातों से ही मोड़े गए हैं हम
मुहब्बत थी मुहब्बत है मगर पागल नहीं हैं हम
किसी पागल से आशिक़ पे कभी थोड़े गए हैं हम
करेंगे नाम हम ऐसा ज़माना ख़ूब देखेगा
अभी हालात के पत्थर से ही फोड़े गए हैं हम
हमारी भी तलब हो क्यूँ किसी को बोलो भी 'रौनक'
ग़रीबी जाल है जिससे अभी जोड़े गए हैं हम
As you were reading Shayari by Raunak Karn
our suggestion based on Raunak Karn
As you were reading undefined Shayari