nahin hai pyaar ab hamko falaane se | नहीं है प्यार अब हमको फ़लाने से

  - Raunak Karn

nahin hai pyaar ab hamko falaane se
na padta fark uske yaar jaane se

hamaare paas to vo khud hi aaya tha
kahaan aaya hamaare vo bulane se

bade to ham nahin phir bhi nazar mein ham
kahaan jhukte kisi ke bhi jhukaane se

mila hai gham hamein ab to bahut ziyaada
nahin hatta yahi gham ab hataane se

rahi hai yaad vo hamko hamesha se
nahin bhule hain usko ham bhulaane se

bada chhota kahaan kab kaun hota hai
zameen pe ya gagan mein baith jaane se

rahegi chaap to uski hamesha hi
nahin mitaa yahan pe gham mitaane se

taras aata nahin ab to use raunak
hamaari jaan hamaara dil dukhaane se

नहीं है प्यार अब हमको फ़लाने से
न पड़ता फ़र्क उसके यार जाने से

हमारे पास तो वो ख़ुद ही आया था
कहाँ आया हमारे वो बुलाने से

बड़े तो हम नहीं फिर भी नज़र में हम
कहाँ झुकते किसी के भी झुकाने से

मिला है ग़म हमें अब तो बहुत ज़्यादा
नहीं हटता यही ग़म अब हटाने से

रही है याद वो हमको हमेशा से
नहीं भूले हैं उसको हम भुलाने से

बड़ा छोटा कहाँ कब कौन होता है
ज़मीं पे या गगन में बैठ जाने से

रहेगी छाप तो उसकी हमेशा ही
नहीं मिटता यहाँ पे ग़म मिटाने से

तरस आता नहीं अब तो उसे 'रौनक'
हमारी जाँ हमारा दिल दुखाने से

  - Raunak Karn

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Raunak Karn

As you were reading Shayari by Raunak Karn

Similar Writers

our suggestion based on Raunak Karn

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari