nahin ho ab yahan pe tum bhala ham ab rizhaayein kisko
yakeenan dard to hai par bhala ab ham bataayein kisko
sunaate the ghazal apni haqeeqat mein tujhe mere dil
magar ab tu nahin to ab ghazal apni sunaayein kisko
manana to nahin aata hamein ae yaar sach mein aakhir
magar seekha manana to bhala ab ham manaae kisko
raha hai yaad sab kuchh yaar hamko to sahi mein lekin
hamein bas yaad ho har waqt tum ab ham bhulaayein kisko
नहीं हो अब यहाँ पे तुम, भला हम अब रिझाएँ किसको
यकीनन दर्द तो है पर भला अब हम बताएँ किसको
सुनाते थे ग़ज़ल अपनी हकीक़त में तुझे मेरे दिल
मगर अब तू नहीं तो अब ग़ज़ल अपनी सुनाएँ किसको
मनाना तो नहीं आता हमें ए यार सच में आख़िर
मगर सीखा मनाना तो भला अब हम मनाएँ किसको
रहा है याद सब कुछ यार हमको तो सही में लेकिन
हमें बस याद हो हर वक्त तुम अब हम भुलाएँ किसको
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Raunak Karn
our suggestion based on Raunak Karn
As you were reading Dil Shayari Shayari