rahe hain gham sahi mein yaar apne beghari se ab | रहे हैं ग़म सही में यार अपने बेघरी से अब

  - Raunak Karn

rahe hain gham sahi mein yaar apne beghari se ab
hamaara dil abhi baccha ise kya farvari se ab

kahi jaaye hamein ab kya hamein ab hai nahin matlab
are kya hai bhala matlab yahan ki paikari se ab

na hai rishta kisi se ab wahan vo sab dikhaaye haan
hamein hai khud mili raahen isee gham rahbari se ab

yahan hai kaam se matlab yahan hai daam se matlab
yahan matlab nahin hai ab kisi ki laagri se ab

रहे हैं ग़म सही में यार अपने बेघरी से अब
हमारा दिल अभी बच्चा, इसे क्या फ़रवरी से अब

कही जाए हमें अब क्या, हमें अब है नहीं मतलब
अरे! क्या है भला मतलब यहाँ की पैकरी से अब

न है रिश्ता किसी से अब वहाँ वो सब दिखाए हां
हमें है ख़ुद मिली राहें इसी ग़म रहबरी से अब

यहाँ है काम से मतलब यहाँ है दाम से मतलब
यहाँ मतलब नहीं है अब किसी की लाग़री से अब

  - Raunak Karn

Bahan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Raunak Karn

As you were reading Shayari by Raunak Karn

Similar Writers

our suggestion based on Raunak Karn

Similar Moods

As you were reading Bahan Shayari Shayari