sahi mein yaar ye marji usi ki hai jidhar jaaye
guzaare zindagi ya phir yahan dil se guzar jaaye
lagega to nahin dil yaar uske door jaane se
usi ka man jahaan jaaye nahi to phir thehar jaaye
mile hai yaar haan mauke sudharne ke yahan dil ko
samajh mein baat aa jaaye sabhi haan phir sudhar jaaye
sabhi ko yaar apne se yahan matlab rahe hai ab
nahin padta kisi ko farq chahe bhoo bigad jaaye
सही में यार ये मर्जी उसी की है, जिधर जाए
गुज़ारे ज़िंदगी या फिर यहाँ दिल से गुज़र जाए
लगेगा तो नहीं दिल यार उसके दूर जाने से
उसी का मन जहाँ जाए नही तो फिर ठहर जाए
मिले है यार हाँ मौके सुधरने के यहाँ दिल को
समझ में बात आ जाए, सभी हाँ फिर सुधर जाए
सभी को यार अपने से यहाँ मतलब रहे है अब
नहीं पड़ता किसी को फ़र्क़ चाहे भू बिगड़ जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Raunak Karn
our suggestion based on Raunak Karn
As you were reading Bhai Shayari Shayari