yahan bisaar mere yaar baithe hain | यहाँ बिसयार मेरे यार बैठे हैं - Raunak Karn

yahan bisaar mere yaar baithe hain
sahi bola yahan dildaar baithe hain

pata tha pyaar mein sab kuch bikhar jaati
magar ab bhoot dil par chaar baithe hain

tujhe poori tarah se jaante the ham
magar phir bhi khudi ko maar baithe hain

laga to tha nahin hamko yahi aakhir
usi ke yaad mein bekar baithe hain

pata ye baat hamko ab nahin aakhir
yahan kyun yaad mein bezaar baithe hain

gaya hai chhod kar shab mein hamein ab vo
khudi ke raah mein deewaar baithe hain

nahin matlab nahin matlab hamein usse
yahan ham ab bane sarkaar baithe hain

jahaan mein rang hai bisaar saari ab
akela ham yahan laachaar baithe hain

hamein cigarette aata hai jalana ab
gaya hai lag pata kar pyaar baithe hain

pata raunak tujhe tha kya nahin kuch bhi
yahan pe saath mein gaddaar baithe hain

यहाँ बिसयार मेरे यार बैठे हैं
सही बोला यहाँ दिलदार बैठे हैं

पता था प्यार में सब कुछ बिखर जाती
मगर अब भूत दिल पर चार बैठे हैं

तुझे पूरी तरह से जानते थे हम
मगर फिर भी ख़ुदी को मार बैठे हैं

लगा तो था नहीं हमको यही आख़िर
उसी के याद में बेकार बैठे हैं

पता ये बात हमको अब नहीं आख़िर
यहाँ क्यूँ याद में बेज़ार बैठे हैं

गया है छोड़ कर शब में हमें अब वो
ख़ुदी के राह में दीवार बैठे हैं

नहीं मतलब नहीं मतलब हमें उससे
यहाँ हम अब बने सरकार बैठे हैं

जहाँ में रंग है बिसयार सारी अब
अकेले हम यहाँ लाचार बैठे हैं

हमें सिगरेट आता है जलाना अब
गया है लग पता कर प्यार बैठे हैं

पता 'रौनक' तुझे था क्या नहीं कुछ भी
यहाँ पे साथ में ग़द्दार बैठे हैं

- Raunak Karn
1 Like

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Raunak Karn

As you were reading Shayari by Raunak Karn

Similar Writers

our suggestion based on Raunak Karn

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari